"INTEKHAAB!"
zindagi may insan ko aisa kab lagta hay k us k saath acha nhi hua...
shayed tab jab us k saath wo sab nhi hota jiski us ne shadeed tamanna ki ho....
hum jis cheez ki tamanna krain to hamain ye q lagta hay hamari tamanna,hamari khawahish,hamari chahat har cheez se behtar hay
is se behtar kuch nhi?
shayed is liye k har koi apne liye behtar ki tamanna aur intakahb hi chahta hay aur ussi ki koshish karta hay...
is k mutabdil k tor par wo behtareen ka intakhab nhi chahta q k wo "behtareen" uski tamanna,uski chahat nhi
par wo us "behtareen" se waqif hi to nhi.us se waqif to sirf ALLAH hay....
Aik maan apne bachey se bohat pyaar karti hay zindagi k har mor par apne bachey k liye "behtareen"muntakhib karna chahti hay
lakin wo mustaqbil se waqif nhi is liye pareshan hoti hay k kahi mustaqbil may kuch aisa na ho jo us k bache k liye "behtareen" nhi
wo ALLAH se dua karti hay apne bachey k liye hamesha ki behtari maangit hay q k ALLAH mustabil se aagah hay.
aur duayain taqdeerain badal diya karti hain..........
ALLAH par yaqeen hay, ALLAH mustaqbil se waqif hay har cheez par qadir hay is baat par bhi yaqeen hay,ALLAH duaon ko sunta
aur qabool farmata hay is par bhi yaqeen hay.
phir jab mustaqbil may kuch aisa ho jo hamari tamanna k mutabiq nhi to wo saara yaqeen kaha gya jo ALLAH par tha wo saari batain wo saarey
falsafey jo kabhi doosro ko samjhaane k liye boley apni baari pe bhool q gaye? ab shikwey kaise shikayat q?
hae cheez par yaqeen tha to is baat par yaqeen q nhi k jo bhi hua wohi "behtareen" hay q k ye ALLAH ne hamare liye muntakhib farmaya...
aur ALLAH to har cheez se "waqif" hay..
hamari khawahish hamari nazar may "behtareen" rhi ho par ho sakta hay k ALLAH ki nazar may to wo hamare liye behtar hi nhi..
aik muhabbat karne waali maan apni aulaad k liye "behtareen" chahti hay .ALLAH to apne bandey se 70 maaon se ziada muhabbat karta hay phir
uska intekhaab behtar q nhi lagta?duaon ki qabooliat par shak q hone lagta hay?
kia ye hamarey emaan ki kamzori hay?
ALLAH k ehsanat,uski muhabbat,bin maangey ki gai nawazishaat,na farmaani k bawajood uski inayat sab bhool jaata hay..
yaad rehta hay to sirf ye k ALLAH ne maire liye" behtareen" nhi kiya..
par nadan insan kiya jaane k "behtareen" kiya hay wo kia jaane k ALLAH ne to jo us k liye mutakhib kiya us se behtar insan k liye kuch behtar ho
hi nhi sakta(nadan jo thehra).
insan ko to apni har tamanna behtar lagti hay q k wo iski apni tamanna hay..
jab ALLAh ne us k liye wohi muntakhib farma diya jo uski tamanna bhi thi to bohat khush hota hay emaan aur bhi mazboot hota hay aur bolta hay mairey ALLAH beshak tu
hi behtar faisla farmaane waala hay
jab ALLAH ne wo muntakhib farmaya jo uski apni tamanna k baraks tha lakin ALLAH ki nazar may behtareen tha to giley shikwey q?
aey ALLAh! ye tu ne kia kiyaaisey maire saath hi q hua?
forun hi "maire ALLAH" se "aey ALLAH"pe aa gaye aur emaan dagmaga gya
to kia ye emaan ki kamzori nhi hay?
insan kitna khud gharz hay ALLAH ka faisla sirf is liye behtar nhi laga q k wo ab uski apni tamanna se mutabqat nhi rakhta,.
insan to mehdood cheezon may se muwazna kar k apne liye "behtar" chunta hay
ALLAH to la mehdood cheezon la mehdood raaston may se us k liye"behtareen"muntakhib farmata hay
to kia behtar hay?
wo jo insan ne apne liye muntakhib kiya,ya wo jo ALLAH ne us k liye mutakhib farmaya?
wo jo mehdood mawazna hay,ya wo jo la mehdood muwazna hay?
to kia jo apni chahton ko,apne liye behtareen k intakhab ko aur khud ko ALLAH k sapurd kar dey wo kabhi khasaarey may reh sakta hay?
to kia us k saath kabhi aisa hoga jo us k liye "behtar" nhi?
yaqeenan nhi
q k ALLAH sab jaanata hay, "acha","behtar"aur"behtareen"...
to kia ye "acha" nhi k apne liye "behtar" k intekhab ko ALlAH pe chor diya jaaey aur "behtareen" hone pe yaqeen rakha jaaey
aur phir jo miley ussi ko "behtareen" samjha jaaey.
zindagi kitni sehal aur shafaf hogi,q k is baar to apne liye manzil aur raaston ka intekhab hum ne ALLAH k sapurd kiya hay.
aur wohi "behtareen" manzil aur wohi"behtareen" raastey hain..........
No comments:
Post a Comment