Content

Monday, 30 March 2015

Taira dil to tha sanam aashna...

 

Taira dil to tha sanam aashna...

 samandar k kinaarey paani ki unchi neechi lehron ko daikhtey hue wo najaane in lehron k muwazne se zindagi ki konsi haqeeqat ko jaanchna chah rha tha...​

kabhi koi unchi lehar aati aur apne neeche tamama choti lehron ko kha jaati...to kabhi pani may bhanwar se banne lagtey...​
kia hmari zindagi bhi inhi lehron ki manind hay?kabhi kisi unchi lehar ki tara hmari zindagi ka urooj,jab hum apne saamne kisi ko kuch nhi samjtey apne urooj k gharoor may har kisi ko haqeer jaan kar dibochtey hain ..yahan tak k issi urooj ko zawal ki taraf aane may aik jhatka bhi nhi lagta....​
kabhi zindagi na urooj hay na zawal balkey pani may banne waale kisi bhanwar ki manind hay aur is bhanwar may insan khud ko hi talash karta reh jaata hay...​
​
kia sirf yhi zindagi hay?​
kahi urooj se zawal tak ka safar kabhi zawal se urooj tak pohanchne ka intezar to kabhi kisi bhanwar se nikal kar hamwar rastey ko paney ki koshish?​
​
baar ha khud se kiye jaane waala sawal wo aaj phir khud se dohra rha tha aur jawab phir kisi bhanwar ki manind hi tha...​
zindagi khuda ki naimat hay khuda ka hum pe ehsaan hay ..us k zehan may roshni si koondi..​
KHUDA??? NAIMAT???​
​
khuda kahan hay? kia hay? zindagi aik naimat hay to main khush q nhi hoon mujey zindagi ki samajh q nhi aati?​
ye kesi naimat hay? kaisa inaam hay?​
wo hamesha ki tara buri tara khud se ulajh parra...​
Khuda dil may hota hay na??​
us ne apne dil ko tatola mujey maire dil may khuda q nhi dikhta?​
maire dil may khuda kahan hay? uska dimagh ab us k dil ka safar kar rha tha. us k dil may har jaga mandir thay ,sanam thay, kahi khawahishat k kuch zinda aur kuch murda but , kahi ana aur matlab parasti k chotey barrey but...​
kahi khandar ka sa gumaan hota tha...​
Dil ki zameen is tara banjar thi k jaise barson se wahan abrish na hui ho....​
nhi...​
kia maira dil murda hay?is liye khuda nhi maire dil may?​
Ya maire dil se khuda chala gya is liye maira dil murda ho gya?​
maire dil may maine Khuda k liye jaga hi kab chori hay,apne dil ko butt kada bna diya,..​
ab kia hoga aey khuda???​
kia aap muj se naraz hain? aap maire dil may wapis nhi aayain gaye?​
nhi nhi ya ALLAH mujey maaf farma dey..​
uska dimagh pagalon ki tara us k dil ki sunsan galio may ifdhar udhar bhatak rha tha..​
Khuda ko dhundhne ki koshish kar rha tha..​
abhi thak haar k ghutney taikne hi wala tha k wairan khandar may kisi darz se se safaid pur noor roshni ki halki si kiran aati dikhaayi di...​
dimagh lapak k us jaanib bhara...​
to darz k us paar ALLAH ka naam jagmagata hua dikhayi diya...​
us ne ghutney taik diye aur sajdey may gir parra to kia ALLAH abhi bhi muj gunahgaar par mehruban hay ....main haq ko paa liya....meri talash meri soch beja na thi...​
​
Khuda ne muj par aik aur ehsaan kar diya mujey phir se zindagi bakhsh di...​
​
zindagi ki tamama rahain jaise shafaf aur pur noor nazar aane laggi....​
jaise kisi ghebi taqat ne uska haath thaam kar usse zindagi k bhanwar se nikal kar aik roshan_o_shafafa raastey par la khara kiya...sajdey ki halat may us ki aankhon se girne waale beraya aur shafafa aansuon ki rim jhim ne us k dil ki khandar zameen ko phir se zarkheez kar diya jis par ab haq aur noor ki fasal ko lehlahana tha......​

No comments:

Post a Comment