My own Urdu Articles(creative)!
Thappar ka haqdaar kon?
(Taleemi nizam se munsalik mohtaram hastio se barri maazrat k saath)!
Subha subha kamra-e-imtehan may aik hi
khabar zuban zad-e-aam thi k dusre kamrey may mumtahin(examiner) ne
student ko thappar maara q k us k paas se naqal ka muwad bramad hua!
Imtehan shuroo huye kuch hi waqt guzra hoga k aik taliba kamra-e-imtehan se baahir jaane laggi Mumtahin(examiner) ne waja daryaft ki to malum hua k taliba(student) beemari k sabab imtehan ki tyari na kar paayi thi jiski wja se wo imtehan(exam) daine se qasir thi..Mumtahin ne taliba ko jaane se mana kiya aur offer ki k 'apna saal zaya mat karain aur baqi bohat se students jis tara paper de rhe hain(Naqal k zariye) paas hone k liye aap bhi aise hi paper de dain!"
taliba ne aage qadam barhaate huye sirf itna bola "is tara paas hone may jis se maira zameer mutmayn na ho muje har baar fail hona manzur hay ,,INSHA ALLAH agle saal may behtareen tyari k sath paper de kar mutamyn zameer k saath apni degree hasil karungi!" ye kehte hi wo kamra-e-imtehan se baahir nikal gai..
aur mumtahin ko aisa mehsus hua k ye thappar us thappar se kahi ziada zaur daar tha jo subha hi kisi mumtahin ne aik student ko maara tha,,,Kia is mumtahin ko na pta tha k subha aik student ko parne waale thappar ki kia wja hogi ,,(yhi k dusre bohat se students ki tara naqal lgane k liye us k paas ,sifarish,rishwat,ya taqat na hogi),to mumtahin ne apni sakhti aur Emandari dikhaane ka moqa zaya na kiya aur issi student ko thappar jhar diya!
magar ab ye aik mumtahin ko parne wala ye aisa thappar tha jiski na to gooonj kisi ko sunayi di na kisi ko dikha aur na hi is k charchey har class aur har student k saamne huye!
Magar is aik beawaz thappar ne mumtahin ko wo aayna dikhaye jisse aaj se pehle wo daikh k bhi nazarandaz kar rha tha,,Aaj kamra-e-imtehan may naqal lgane waale,rishwat daine waale, sifarish karwane waale,drane dhamkaane waale aur sirf paise k zaur par Haqdar students se ziada number wasool karne waale ye students kitne Qasurwaar hain?
shayed in Mumtahin aur Usatdza Hazraat se ziada nhi,,kia aaj ka taleemi nizaam in students ne barbaad kiya? nhi hargiz nhi! Ye silsila inhi usatza aur taleemi nizam se munsalik tmam Baikhtyar Hazraat ka marhoon_e_minnat hay!
Apni tankhwa(salary) ko halal rozi ka laqab daine k liye bamushkil aik ghante k ratte rtaaye lecture daine waale ye aaj k usatza Students ko Ikhlaqiyaat sikhaane se Qasir hain! aur aise students ki badikhlaqi aur bastameezi ka pehla shikaar Khud yhi Usatdza hote hain,,,
Kamra-e-imtehan may kisi yahoo ya hotmail messenger k frayz anjaam daine waale ye mumtahin jab cheating se Muzayyan(decorated) Anmol nuskhaa jaat aik student se dusre student ki janib transfer karte hain to kisi tor bhi ye aik Waiter se kam maloom nhi hotey jisse Aakhir may sirf Apni TIP chahiye aise may usse farq nhi parta k konsa CUStomer kia Order kar rha hay!
Paseene poonchte huye aik nazar darwaze pe markooz rakhte huye yhi usatza aur mumtahin hazraat examination centre k kisi koney may aik mukhbar chor daite hain jo fori tor pe kisi ghebi madadgaar ki tara kisi CHECKEr k aane ki ittala fraham kar k kaar-e-khair may hissa laita hay!
Aur yhi mumtahin hazraat jo pehel kisi waiter aur messenger k frayz anjaam de rhe hote hain ab kaaghzon k marorey tarorey nuskha jaat zameen se samaitne lagtey hain aur chilla chilla kar kabhi minnat kar k students ko alert aur khamosh rehne k ishaarey karte hain Aise may apni bokhlahat par qabu paatey huye zameen se RUQQEY uthaane waale ye mumtahin kisi tor par Phattey purane kapre pehne apni behti hui naak saaf karte zameen se kaghaz jama karne waale kisi bache se kam maloom hotey hain?
checker hazraat k kamrey tak pohanchne se pehle hi kamre ki halat aisi ho chukki hoti hay jaise Kisi JAduyi charri ne AIk Khandar ko Pursakun Mehal may badal diya ho ya jaise Kisi Tsunami k baad Sumandar tham chukka ho!
Ird gird ka jayza laite huye ye checker kabhi Mumtahin hazraat k tables ki Nuskhaa jaat se bharri hui Draz khol k Q check nhi karte ?
Bachon ki tirchi nigahain aur ruki hui qalam daikh k Mubham se tanziya muskurahat kamre pe uchaalte huye wapis q palat jaate hain?
Q k ye bhi inhi adwar se guzrey hain ye bhi issi Drama ka aik Kirdaar hain!
kesi Zabardast,bina kahani tehreer kiye,Bina direct kiye, BIna Re-takes liye bnayi jaane waali aik super duper hit Film k kitne honhaar Kirdaar hain ye sab!
aise may kisi aik aadh bache ko Ruqaa bramad hone pe thappar maara jaaye to kia ye bache k saath ziadti nhi?
aakhir us bache ko bhi poora haq hay bina Saal zaya kiye Degree Wasul karne ka ,,
Aakhir usse bhi haq hay Is mulk k khwanda afrad ki fehrist(list) may shamil ho kar Mulk ki khwandgi may izafa ka sabab banne ka!
AAKhir usse bhi haq hay kisi syastdaan ya us k bachon ki tara baghair kuch kiye kursi pe baith k Rozgaar kamane ka!
ye ZIadti aik hi bache k saath q?
Thappar ka haqdaar ye aik hi bacha q?
thappar k haqdaar wo sab abche q nhi jo rishwat,sifarish ya Resources istamal kar k baqio ki haqtalfi karte hain?
Thappar k haqdaar wo Muntazmeen q nhi jo power,ikhtyaar, aur ilm rakhne k bawajud aankh band kar k saamne se guzar jaate hain?
Q k unki aankhon pe lalach ki patti hay ,,aur us patti k dusri taraf Bachon ki tabah hotey mustaqbil ,,unki bigarti hui shakhsiyat, unki behiss hoti nafsiyaat hay jisse wo Baikhtyaar log daikhte huye bhi daikhne se Qasir hain!
Thappar k haqdaar hum sab q nhi,,,k jinho ne is NIzaam ki Parwarish ki hay?

No comments:
Post a Comment